Be Khud Kiye Dete Hain Lyrics

Aa dil main tujhe rakhloon aye jalwa e jaanana
Kyu aankh milaayi thi kyu aag lagaayi thi
Ab rukh ko chupa bethe kar ke mujhe deewana
Itna to karam karna aye chashm e karimaana
Jab jaan labon par ho tum saamne aajana
Ab maut ki sakhti to bardast nahi hoti
Tum saamne aa betho dum niklega aasaana
Duniya mein mujhe tumne jab apna banaaya hain
Mehshar mein bhi keh dena ye he mera deewana
Jee chahta hai tohfe mein bheju main unhe aankhen
Darshan ka to darshan ho nazraane ka nazraana
Jaanaa tujhe milne ki tadbir ye sochi he
Hum dil mein bana lenge chota sa sanam khana
Main hosh-hawaas apne is baat pe kho betha
Hans kar jo kaha tumne ye hai mera deewana
Peene ko to peelunga par arz zaraa si hai
Ajmer ka saaqi ho baghdad ka maikhana
Kya lutf ho mehshar mein sikwe main kiye jaoon
Woh hans ke ye farmaye dewaana hai dewaana
Mehshar mein mere murshid tum pass khade rehna
Kya jaane khuda puche, kya kehde ye deewana
Ma'alum nahi Bedam main kaun hoon aur kya hoon
Yun apno mein apna hoon begaano mein begaana
Bedam meri qismat mein sajde hain usi dar ke
Chuta hai na chutega sange dare jaanana
Naat lyrics: Be Khud Kiye Dete Hain Lyrics
Na'at written by: Bedam Shah Warsi
Naat khawan: Muhammad Owais Raza Qadri, Amjad Sabri, Asad Raza Attari, Muzammil Hassan Nagri, Hafiz Ahmed Raza Qadri and more naat khawans.